MUJHE YAQEEN HAIN
Mujhe Yaqeen hai woh sota toh honga magar,
neend uski ankhon mein utarti nhi hongi !
Mehfil mein Woh Muskurata toh honga magar,
us tabassum me ek tees si uthi hongi !
Ankh mein ansu toh na najar ate honge,
palkon tale ek barish jarror hoti hongi !
Meri yaad toh uske khon ki gardish key sath thi,
dil dharakta toh honga magar ek aha bhi nikalti hongi !
Kyun sochti hun yeh sub kuch mein,
joh taluq tha woh maine todh diya !
Woh jinda rahe ya na rahey mujhe esase kya,
uski saans ruke ya chale mujhe kya lena !
Merey liye toh faqt yahi kafi hai ke,
mein ek dunia dar ladhki aur woh kisi dusri duniya ka basi tha !!!!