Tuesday 22 May 2012


AAP SE KABHI MIL NA PAAYE HUM

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya

hume ab zamaane se shikayat kaisi 

MAIN BADNASIB HUN

Maine
ban-na chaha tha zariya sabho ka,
Lekin
na samjha logon ne mujhe,main badnasib hun
Khud
ko taklif de kar , khushi talaashi auron ki
Aaj
main akela hun,kyon ki main badnasib hun
Logon
ne muhabbaton ke badle gaaliyan din mujhe
Aaj
khud se sharminda hun,main badnasib hun
Zekhm
chhod khud ka,logon ka merham bana
Zekhm
mere kuredte hain log,main badnasib hun
Log
kehte hain ki EHSAAS tumme samajhne ka dhang nahin
Main
to khud ko na samajh paaya,main badnasib hun
Maine
maana ki kuchh kamiyan hoti hain insaan me
Na
samajhte hain log,kya karun main badnasib hun
Maine
socha tha ki saath chal kar manjil paunga zarur
Aaj
main alag hone ko majbur hun,main badnasib hun
Aaya
hun duniya me akela,akela hi jaaunga main
Saath
reh kar taklif mili hai mujhko,kya karun main badnasib hun

Sunday 20 May 2012


TANHA TUM TOH NAHI

Dil ke sannato me Rahne Wale Tanha Tum Ho Nahi
Tanhai Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Ho Nahi

Is Ishq Ne Berbaad Kiya Hai har Shakhs Ko
Is Ishq Me Bikhrne Wale Tanha Tum ho Nahi 

Kahne Ko To Faqt ek Dil Hi Toota Hai
Apna Sub Kuch Lutane Wale Tanha Tum Ho Nahi
Hanste Huye Chehare Hai Yahan Sub Ke
Dard Yun Chupane Wale Tanha Tum Ho Nahi

Shab_E_Tanhai Ki Dastaan ik See Hai Sub ki
Andhero Me Rahne Wale Tanha Tum ho Nahi

Aeisa Lagta Hay ek Saza Ho Zindagi Meri
Is Qaid Me Rahne Wale Tanha Tum Ho Nahi

Is Shaher Me Aur Bhi Deewane Hai dost...
Dar-dar Bhatakne Wale Tanha Tum Ho Nahi.

KITNA BEBAS HAI

Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage,

Koi ruki si dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage

Kabhi to aasman se chand utre aur ek jaam ho jaye
Tumhare naam ki ik khubsurat haseen sham ho jaye
Ujale apni yadon ke hamare sath rehne de
Na jane kis gali me zindagi ki sham ho jaye
Khoobiyan itni to nahi hum mein,
ki kisi ke dil mein ghar kar jayenge
par bhoolna bhi aasaan na hoga,
aisa kuch zaroor kar jaayenge....

Dosti mai dil ka tamasa dekha nahi jata,
Humse tuta hua sisa dekha nahijata.
Apne hisse ki sari khusiya lutadu tumper,
Humse tera utra hua chehara dekha

MOHABBAT BHI MAUSAM KI TARHA

Tum Mohabbat bhi Mausam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..