Monday 14 May 2012


RAKHTY HAIN

tere khayalon se is dil ko abaad rakhty hain
kuch is tara se hum khud ko shaad rakhy hain

saath beety chand haseen lamhon ko sambhala hai is tara
johri chupa ke rahzano se jaisy gohar-e-nayab rakhty hain

aks tera dil se aankhon main na utar aaye kahin
chehry pe issi dar se muskurahton ke naqab rakhty hain
aaj mila hai barson baad kal phir bichar jana hai ussy
shab-o-roz ka hum aaj kal bohat hisaab rakhty hian

aas phir milney ki zindagi main toot na jaye kahin
saja ke palkon pe kanch ke kuch khawab rakhty hain

jo rok sako to rok lo ussy jaty huey IMAN
guzar jaye waqt to log kahan kisi ko yaad rakhty hain

No comments:

Post a Comment