Sunday 13 May 2012

NAHI KARTI
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti ,
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti ,
chahatai hoon main tujhe aaj bhi par ,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti ,
chahati hoon main tujhe aaj bhi par ,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti ,
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri ,
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti ,
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main ,
tere liye khuda se taqraar nahi karti ,
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim ,
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karti !!!

No comments:

Post a Comment