Sunday 13 May 2012


RAKHTY HAIN

tere khayalon se is dil ko abaad rakhty hain ,
kuch is tara se hum khud ko shaad rakhy hain

saath beety chand haseen lamhon ko sambhala hai is tara ,
johri chupa ke rahzano se jaisy gohar-e-nayab rakhty hain

aks tera dil se aankhon main na utar aaye kahin ,
chehry pe issi dar se muskurahton ke naqab rakhty hain
aaj mila hai barson baad kal phir bichar jana hai ussy ,
shab-o-roz ka hum aaj kal bohat hisaab rakhty hian

aas phir milney ki zindagi main toot na jaye kahin ,
saja ke palkon pe kanch ke kuch khawab rakhty hain

jo rok sako to rok lo ussy jaty huey IMAN ,
guzar jaye waqt to log kahan kisi ko yaad rakhty hain  !!!

No comments:

Post a Comment