Tuesday 22 May 2012


MAIN BADNASIB HUN

Maine
ban-na chaha tha zariya sabho ka,
Lekin
na samjha logon ne mujhe,main badnasib hun
Khud
ko taklif de kar , khushi talaashi auron ki
Aaj
main akela hun,kyon ki main badnasib hun
Logon
ne muhabbaton ke badle gaaliyan din mujhe
Aaj
khud se sharminda hun,main badnasib hun
Zekhm
chhod khud ka,logon ka merham bana
Zekhm
mere kuredte hain log,main badnasib hun
Log
kehte hain ki EHSAAS tumme samajhne ka dhang nahin
Main
to khud ko na samajh paaya,main badnasib hun
Maine
maana ki kuchh kamiyan hoti hain insaan me
Na
samajhte hain log,kya karun main badnasib hun
Maine
socha tha ki saath chal kar manjil paunga zarur
Aaj
main alag hone ko majbur hun,main badnasib hun
Aaya
hun duniya me akela,akela hi jaaunga main
Saath
reh kar taklif mili hai mujhko,kya karun main badnasib hun

No comments:

Post a Comment