Tuesday 22 May 2012


AAP SE KABHI MIL NA PAAYE HUM

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya

hume ab zamaane se shikayat kaisi 

MAIN BADNASIB HUN

Maine
ban-na chaha tha zariya sabho ka,
Lekin
na samjha logon ne mujhe,main badnasib hun
Khud
ko taklif de kar , khushi talaashi auron ki
Aaj
main akela hun,kyon ki main badnasib hun
Logon
ne muhabbaton ke badle gaaliyan din mujhe
Aaj
khud se sharminda hun,main badnasib hun
Zekhm
chhod khud ka,logon ka merham bana
Zekhm
mere kuredte hain log,main badnasib hun
Log
kehte hain ki EHSAAS tumme samajhne ka dhang nahin
Main
to khud ko na samajh paaya,main badnasib hun
Maine
maana ki kuchh kamiyan hoti hain insaan me
Na
samajhte hain log,kya karun main badnasib hun
Maine
socha tha ki saath chal kar manjil paunga zarur
Aaj
main alag hone ko majbur hun,main badnasib hun
Aaya
hun duniya me akela,akela hi jaaunga main
Saath
reh kar taklif mili hai mujhko,kya karun main badnasib hun

Sunday 20 May 2012


TANHA TUM TOH NAHI

Dil ke sannato me Rahne Wale Tanha Tum Ho Nahi
Tanhai Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Ho Nahi

Is Ishq Ne Berbaad Kiya Hai har Shakhs Ko
Is Ishq Me Bikhrne Wale Tanha Tum ho Nahi 

Kahne Ko To Faqt ek Dil Hi Toota Hai
Apna Sub Kuch Lutane Wale Tanha Tum Ho Nahi
Hanste Huye Chehare Hai Yahan Sub Ke
Dard Yun Chupane Wale Tanha Tum Ho Nahi

Shab_E_Tanhai Ki Dastaan ik See Hai Sub ki
Andhero Me Rahne Wale Tanha Tum ho Nahi

Aeisa Lagta Hay ek Saza Ho Zindagi Meri
Is Qaid Me Rahne Wale Tanha Tum Ho Nahi

Is Shaher Me Aur Bhi Deewane Hai dost...
Dar-dar Bhatakne Wale Tanha Tum Ho Nahi.

KITNA BEBAS HAI

Kitna bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Kitne benoor hain sapne hakikat ke aage,

Koi ruki si dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage

Kabhi to aasman se chand utre aur ek jaam ho jaye
Tumhare naam ki ik khubsurat haseen sham ho jaye
Ujale apni yadon ke hamare sath rehne de
Na jane kis gali me zindagi ki sham ho jaye
Khoobiyan itni to nahi hum mein,
ki kisi ke dil mein ghar kar jayenge
par bhoolna bhi aasaan na hoga,
aisa kuch zaroor kar jaayenge....

Dosti mai dil ka tamasa dekha nahi jata,
Humse tuta hua sisa dekha nahijata.
Apne hisse ki sari khusiya lutadu tumper,
Humse tera utra hua chehara dekha

MOHABBAT BHI MAUSAM KI TARHA

Tum Mohabbat bhi Mausam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..

KYUN DIL MERA US KA TALABGAAR THA

Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

YE DIL NA JANE KYA

Ye dil na jane kya kar baitha,
Pooche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Is zameen par toota sitara tak nahi girta,
Aur ye paagal dil chaand se pyaar kar baitha...

Koi ankhonm akhon se baat kar leta hai,
koi ankhon ankhon main mulakat kar leta hai
Bada mushkil hota hai jawab dena
jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai.
 
aasu me na dhundo hame
dil me bas jayenge
tammana ho agar milne ki
to band ankho me najar aayenge.

Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil

Thursday 17 May 2012

ACHA NAHI LAGTA

Kisi Se Baat Karna Bolna Achcha Nahi Lagta
Tujhe Dekha Hai Jab Se Dusra Achcha Nahi Lagta

Teri Ankhon Me Jab Se Mai Ne Apna Aks Dekha Hai
Mere Chahre Ko Koi Aaina Achcha Nahi Lagta
Yahan Ahle Mohabbat Umra Bhar Barbad Rahte Hain
Ye Dariya Hai Ise Kachcha Ghada Achcha Nahi Lagta

Tere Bare Me Din Bhar Sunchti Raheti Hoon Laikin
Tere Baare Me Sab Se Puchna Achcha Nahi Lagta

Mai Ab Chahat Ki Us Manzil Me Aa Ponchi Hon ki
Teri Alawa Kisi Ko Dekhna Achcha Nahi Lagta
BADALAA NA APANE AAP KO

badalaa na apane aap ko, jo they vahii rahe
milate rahe sabhii ko, magar khud tanha rahe

duniyaa na jiit paao to haaro na Khud se tum
thodhi bahut to es zahan mey naaraazagii rahe

apani tarah sabhi ko kisi ki talaash rahe
ham jisake bhi qarib rahe wo duur ho gaye

guzaro jo baag se to, duaa maangate chalo
jisame na khile phuul vo Daalii harii rahe

badelaa na apane aap ko, jo they vahii rahe
milate rahe sabhii ko, magar khud tanha rahe
KABHI ISE BHI MITAANE KO JEE CHAAHTAA AHI

Kabhi apni hasi par aata hai gussaa,
Kabhi saare jag ko hasane ko jee chahtaa hai.

Kabhi roti nahi mein badi badi baaton par,
Kabhi yun hi ansoo bahaane ko jee chaahtaa hai.

Kabhi accha lagtaa hai aakash mein udnaa,
Kabhi kisi bandhan mein bandh jaane ko jee chaahtaa hai.
Kabhi apne bhi lagte hai begaane se,
Kabhi begaano ko b hi apnaane ko jee chaataa hai.

Kabhi maan chaahe saaree duniya ki daulat,
Kabhi apni bhi gawaane ko jee chaataa hai.

Kabhi maan chaahe nayaa jeevan,
Kabhi ise bhi mitaane ko jee chaataa hai....



Monday 14 May 2012


HUM TERE SHEAR MEIN
Kyun baitha hai gumsum mere dost...kya hai wajah muje tu bata...
Aaj phulon mein wo khushboo nahi...aisi kya taasir hai tujme tu bata !

Kyun ashkon se bhigi hai teri palke...kis gham mein bandah hai muje tu bata..
Aaj baharon mein wo raunaq nahi... aisi kya taasir hai tujme tu bata !
Kyun roothi hai khushiyan tujse...kaise bhardoo tera daaman muje tu bata...
Aaj roshni bhi andhiyaarisi lagein...aisi kya taasir hai tujme tu bata !

Kyun hansta nahi mere dost...kya keemat hai uski muje tu bata...
Aaj farishte bhi ro rahe hai tere khair ke liye...aisi kya taasir hai tujme tu bata !

RAKHTY HAIN

tere khayalon se is dil ko abaad rakhty hain
kuch is tara se hum khud ko shaad rakhy hain

saath beety chand haseen lamhon ko sambhala hai is tara
johri chupa ke rahzano se jaisy gohar-e-nayab rakhty hain

aks tera dil se aankhon main na utar aaye kahin
chehry pe issi dar se muskurahton ke naqab rakhty hain
aaj mila hai barson baad kal phir bichar jana hai ussy
shab-o-roz ka hum aaj kal bohat hisaab rakhty hian

aas phir milney ki zindagi main toot na jaye kahin
saja ke palkon pe kanch ke kuch khawab rakhty hain

jo rok sako to rok lo ussy jaty huey IMAN
guzar jaye waqt to log kahan kisi ko yaad rakhty hain

Sunday 13 May 2012


RAKHTY HAIN

tere khayalon se is dil ko abaad rakhty hain ,
kuch is tara se hum khud ko shaad rakhy hain

saath beety chand haseen lamhon ko sambhala hai is tara ,
johri chupa ke rahzano se jaisy gohar-e-nayab rakhty hain

aks tera dil se aankhon main na utar aaye kahin ,
chehry pe issi dar se muskurahton ke naqab rakhty hain
aaj mila hai barson baad kal phir bichar jana hai ussy ,
shab-o-roz ka hum aaj kal bohat hisaab rakhty hian

aas phir milney ki zindagi main toot na jaye kahin ,
saja ke palkon pe kanch ke kuch khawab rakhty hain

jo rok sako to rok lo ussy jaty huey IMAN ,
guzar jaye waqt to log kahan kisi ko yaad rakhty hain  !!!
NAHI KARTI
main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti ,
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti ,
chahatai hoon main tujhe aaj bhi par ,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti ,
chahati hoon main tujhe aaj bhi par ,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti ,
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri ,
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti ,
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main ,
tere liye khuda se taqraar nahi karti ,
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim ,
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karti !!!
NIKAL GAYE
Aankho mein basne wale aansu bhekar nikal gaye,
Dil mein rehne wale dil jalakar nikal gaye !

Jin rahoon pe mera kabhi intezar kiya karte the,
Aj usi raha se chera chupa kar nikal gaye !

Jinse mehkti thi kabhi mere khuwabon ki galiyan,
Wohi mere sapno ko aag lagakar nikal gaya !

Jis pyar ki khushboo basti thi mere angan me,
Woh bewafa phoolon ko mujhrakar nikal gaya !

Kisi tarha ab guzrey gay eh zindagi ka safar,
Joh mujhey maut ki galiyan dikhakar nikal gaya !

Jab beyaan ki apni zindagi ki kahani,
Tab log waha waha suna kar nikal gaye !!!

Sunday 6 May 2012

Hai Dil

HAI DIL


Kissee kee yaad ki khushboo se mahaktaa hai dil
Ussee ke pyaar ke ehsaas se bahaltaa hai dil

Kabhee to khojte the jeene kaa bahaanaa koyee
Zindagee aaj milee hai to machaltaa hai dil

Thee bahaaron kee tamannaa mere armaanon ko
Wo jo aaye hain khayaalon men sambalta hai dil

Milaa hai gam to ye khushiyaan bhee kaheen door naheen
Dee jo takdeer ne dastak to uchhaltaa hai dil

Koyee saakee nahee, naa jaam yaa botal bhee naheen
Unko jab khwaab men dekhaa to bahaktaa hai dil

Hatheli Saamne Rakhna


Hatheli Saamne Rakhna


Hatheli Saamne Rakhna, Ke Sab Aansoo Gire Usme…Jo Ruk Jaayega Honthon Par,Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”. 
Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,To Aankhen Band Kar Lena…Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”. 
Jo Jyaada Yaad Aaun Main,To Ro Lena Jee Bhar Ke…Agar Hichki Koi Aaye,Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”. 
Agar Tum Bhoolna Chaaho,Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum…Magar Jab Saans Lena TumSamajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Thursday 3 May 2012


BAS AKHIRI BAAR

Dil ne Kaha Bas Akhiri Baar 
Keh Du Aur phir chale 
Hum Apne Raste Aur Tum Apne Raste
Tum Is Baar bhi kahoge 
Tumahara Bas ye Akhiri Baar

To kya hua Dil Mera toda tumne
Is Dil ko Dhadkna bhi to sikhaya Tumne

Is jindagi me ji Bhar ke rulaya Tumne 
Akhir hasi kya hai ye bhi to batlaya Tumne
Pyaar par se barosa toda mera
Pyaar ka ehsaas bhi to jagaya tumne
Ye keh du tumse Bas Akhiri baar


Ek sawal Jo Dil me Reh Gaya
Mere Pyaar ka anjaam reh Gaya
Dekh lu Tumhe Ek baar Phir se
Ek Hi Pal me sab kuch keh du Dil se
Tumse keh du bas Akhiri baar

To kya hua tumne mughe bhula Diya
Meri To har saans me ho tum,jisne mughe jina sikha diya

Is tarah Aaj bhi ji rahe hai
Mukurahat to hai par muskan kho rahe hai
Aur is jism ko bina jaan ke chala rahe hai
Tumse ye keh rahe hai Bas Akhiri Baar

Ab In raho par naye musafir milenge
Shayad hum phir kahi milenge
Bas yahi arjoo aaj bhi hai dil me 
Ki Ek naya Din hum Saath Roshan Karenge
Yahi kehna chahte the tumse Bas Akhiri Baar

MERE ARMAAN

Jo Armaan mere so gaye the
Jane kaise Wo Aaj jag Gaye
Aur mujhe Phir Wahi Sapna dikha gaye

Hum to Ji Rahe the ek jinda Laash ki tarah
Jane aaj Kaha se wo hum par Jaan Daal gaye
Phir wahi Dard Aur takleef jaga gaye

Jin gumo se Hum bhaag Rhe the
Wo Aaj phir hume Tadpa gaye
Har lamha har pal hum to sirf haste the
Phir Kyu Aaj humari ankho me ansoo Aa gaye

Socha tha shayad phir kabhi na aane denge inhe apne labo par
Phir kyu aaj ye labo par aate/2 rah gaye
Jindagi ji rahe the haste /2 
Phir kyu aaj ye gumo ke badal cha gaye

Na kisi dukh ka ahsaas tha
Aur na kisi khushi ka
Phir kyu aaj hum khushiya manane lage
Aur rone ko tadap gaye
Jane mere armaan kaise jaag gaye


Hum se daaman chhudakar chal diye

Hum se daaman chhudakar chal diye,
gum se mujhko milakar chal diye,
dhokhe to kai baar khaye hai meine,
magar apni bewfaai se wo ghayal kar ke chal diye,
kehti thi jo khud ko sahaara meri zindgi ka,
aaj wo haathon se, mera haath chudakar chal diye,
na jaane kis gunaah ki saza mili hai aaj mujhko,
ki khuli hai aankhen meri, or wo qafan pehnakar chal diye